Android Phone Root Krne ka Sbse Aasan Tarika (WithOUT PC
Jo Android Phone use karte hai unhone kahi na kahi Android Phone Root sabd jarur suna hoga.. Kuch Android App me root ki jarurat padti hai.. Root kya hai or uske kya faide or nuksan hai ye me phele bata chuka hu.
Mene apni pichli post me bataya ki PC se Andoid Mobile ko Root kaise karte hai, par bhut logo ke pass computer/Laptop nahi hai, wo kaise root kare apne mobile ko.
Aaj mai Android Phone ko root krne ka sbse aasan tarika btane ja rha hu. Jisme aap apne Android phone ko apne hi phone se Kuch hi steps me Successfully root kar skte hai. Root krne se phle aapko kuch baato ka dhiyan rkhna pdega. Isliye mai yah chahuga ki Aap rooting ke bare me pure detail se jaanne ke liye iss POST ko Pdhe..
Android Phone ko Bina PC ke kaise Root Kare
Android phone ko phone se hi root karna aasan hai, bas root karne ke liye hame ek application ki jarurat padegi.. Chaliye dekhte hai step by step kaise kya karna hai –
Step 1: Sbse phle aap apne Android Device me King Root download kar lijiye. Aap iss download par click karkekar sakte hai.
Step 2: KingRoot download hone ke baad aap usko apne phone me Install kar lijiye.
Note: King Root Ko Install krne ke samay aapke screen pr “Install Blocked” likh ke aa rha ho toh aapko settings pr click karke “Security ” me “Unknown Resources” ko enable kar dijiye . Fir aapka app install ho jayega.
Step 3: King Root ko install karne ke baad open kijiye. Fir uspe Root ka option aayega aap uspe click kar dijiye.
Step 4: Aur fir iss tarah se aapko Rooting ki process start ho jayegi . Jo % ke roop me show karega.
Iss tarah se aapki rooting ki process complete ho jaeygi aur wo bhi Without using PC Rooting ke time pe aapka phone reboot ho skta hai. or haa yah method bahut hi safe hai. Jo Mobile Data hai wo bhi safe rhata hai.
Android Phone Root karna kitna aasan hai ab aap jaan chuke ho, par yaha me aapse ek baat khana chahuga ki root mobile karne par agar koi galat chije aapke mobile me aa gai to aapka mobile dead bhi ho sakta hai.. is liye sabhal kar apne mobile ko use kare..
Read more: http://hindimehelp.com/android-phone-root-without-pc/#ixzz3u0GKKr8b
No comments:
Post a Comment