Agar Aapka Facebook par account hai to aap apne dosto se to jude rhe hi sakte hai, jese ki ham dekhte hi hai abhi ke time me social networking site ke aesa free tarika hai jiski madad se koi bhi uski jaankari duniya se share kar sakta hai..
Facebook par ham Apne Friends or Family se jude rha sakte hai, or agar koi busness karte hai ya fir koi celebrity hai to Facebook Page ya fir Facebook Group ki madad se logo se jud sakte hai.
Facebook Security Account Hack Hone se kaise bachaye hindi me
Facebook par crore users roj facebook use karte hai, Me aapko bata du- facebook par 6 lakh bar har roj galat password daalkar account ko hack karne ki kosis ki jati hai. Kuch log hack kar bhi lete hai.. to aaj ham issi topic ke bare me baat karege or apne account ko or sucure banayege.

🔐Facebook Account ko Secure kare Hacker se

Fb account hack hone ka sabse bada karan hai hack kaise hota hai uski jaankari naa hona, to ham har tarike ke bare me baat karege jisse hamara account hack ho sakta hai.. Ek baat ka diyaan rakhe me aapke account ki security kaise badaye usme madad karuga, koi mujse ye ummid naa kare ki me kisi ka account hack karu ya aapko hacking sikaho.

1#📌 Keep me Login par tik nahi kare

Facebook le keep me login par kabhi tik nahi kare kisi bhara ke computer me
Jab bhi Fb par login karte hai to ID or Password dal kar login karna padta hai.. Aapne dekha hoga Keep me logged in ka option bhi rhata hai. uspar click karne ka matlab hai jab jak aap Logout nahi karege aap login hi rahege.. Is option ka sirf apne computer me use kare jisse aapko bar bar password dal kar login nahi karna pade. Par agar aap Apne kisi Friends ke computer me ya fir kisi Net Cafe me facebook chalaye to ispar kabhi click nahi kare.

2#📟 Password Majbut Rakhe

facebook ka password change kare
Facebook ka password majbut rakhe, jisko koi aasani se pata na kar sakte aapka password.. Bhut log kya glti karte hai jo unka mobile number rhata hai usko hi facebook password set kar dete hai. Password aesa hona chaiye jisko aap aasani se yaad rakh sako or koi uska andaja bhi naa laga sake.

Apna Majbut Password Kaise banaye

  1. aapki koi mandpasand chij ka aage ka naam – maan lijiye cricket hai to aap uske kuch sabd rakh sakte hai – Cric
  2. Kuch Special Cerector bhi rakhna hai – @#$%&-! isme se kisi koi bhi
  3. Number bhi istmal kare password me uske liye, Janmdin, Gadi ka number ya fir koi bhi aesa number rahe jo aapko jaad rahe.. jese maan lo gadi ka number rakh liya – 6756
In sabko ek sath karke kuch is trha ka password banega @Cric@6756
Aap mene bataya is trha se apna majbut password bana sakte hai.. ab aapka password kitna majbut huaa usko aap Password Meter ek website hai uspar check kar sakte ho.
password kitna majbut hai usko check kare

3#🔔 Login Alart Enable kare

login Alart enable kare facebook account ka
Apne Account ki Setting >> Security me jaye or login Alerts enable kare. jisse aapka account me jab bhi login ho aapko notification aa jayega.
Alerts chalu karne ke baad aesa notification aata hai agar or kahi bhi koi login karta hai. Email Bhi aata hai or SMS bhi aata hai.
facebook Login Notification

4# Code Generator Chalu kare

Code generator enable karke rakhe
Is Option ko enable karne ke baad jab bhi aapko facebook code ki jarurat padegi to aap Apne Mobile me Facebook App ki setting me ja kar dekh sakte ho.

5#👤👧 Trusted Contacts

trusted contact add kare facebook me
Security me apne 5 Fb Friends ko add kare, jinpar aapko bharosa ho. Agar kabhi aapke account me login karne me koi dikkat aati hai to facebook ek ye option bhi deti hai ki aap apne trusted friends ke pass phone laga kar apna code le.. jo aapke ye friends hai ise sabse pass alag alag code jayega. usko eksath dalne par account khul jata hai.. isliye jo bharose ke ho unh ko add kare.

6# Registered Browser or App

Register Browser dekhe facebook ke
Is option me Ham jab Login karte hai to Facebook hamse puchta hai ki kya ye trusted Device hai. Agar ham usko Yes kar dete hai to wo yaha Save ho jata hai.. Fir ham jab bhi isme Login karege to hamare pass koi Notification nahi aayega. Yaha Check kare agar koi aesa Computer Save ho jo aapka naa ho to usko remove karde.

7# Remotely Logout kare

login seccession jitne bhi hai unko end karde
Account ki setting me ja kar current session me jaye, bha aap dekh sakte hai abhi aap apne account me kaha par login hai, Jese agar aap apne Mobile me or Computer me Login hai to wo aap isme dekh sakte hai. Agar aap kisi or ke computer me Facebook chala rahe the or aap logout karna bhul gaye to aap yaha par ja kar End Activity par click karke kahi se bhi logouy kar sakte hai.

8#🚫 Facebook Par User ko Block Kare

facebook par kisi ko block karna ho to yaha uska naam ya email daal kar kare
Facebook par bhut log fack account bana lete hai, Total Facebook Account me se 8% fack account hi hai facebook par. To agar aapko koi paresan karta hai ya aap nahi chate ki wo aapke account ko khole to aap usko block kar sakte hai.

9#📱 Mobile Number Add kare

facebook account me apna mobile number bhi add karke rakhe
Mobile Number bhi jarur add karke rakhe, isse aapko kabhi password bhul gaye to forgot karne me bhi aasani hogi. aap facebook ke sms mobile par bhi aayege.

10#👥 Friends Request Accept nahi kare

facebook par jo phechan ke ho unko hi friend banaye
Jo Aapke phecha ke ho unhi ko facebook par friend banaye, Agar koi aapko friend request bheje to uski ID phele check kare kahi fack to nahi.. me apni agli post me bataoga kaise check kare Fack Id hai ki nahi.
Kya Aapko Pata hai Facebook par 5000 se jada friends nahi bana sakte, Agar aap ke isse jada chane wale hai to aap Apna Facebook Page banaye 

11# Sirf Kaam ke App Install Kare

kisi bhi aese app ko install naa kare jiski aapko jarurat nahi ho facebook me
Facebook par apps ka option bhi hai, jinki madad se ham kisi bhi game, sites se facebook accout ko connect kar sakte hai.. par iski madad se koi hamare account hack bhi kar sat hai, isliye jab koi koi app install karre ye jarur dekhe ki ye kya kya permision le raha hai. or jo kaam ke nahi hai unko Remove karde apne account se.

12# 🎭 Privacy Setting Sahi rakhe

privacy setting me set karke rakhe kon kya dekh sakta hai
Aap apne account pe kya share karte ho, kon kon usko dekhe, kon aapko tag kar sakte is trha ki puri setting aap apni Account Privacy me kar sakte ho. Isse agar aap chate hai ki koi meri ye jaankari naa dekh paye wo aap kar sakte ho.

13#👮 Anti Virus Rakhe Computer me

Aapka jo Computer hai Usme AntiVirus jarur rakhe, Q ki kuch aese virus bhi hai jo agar hamare computer me aa jaye to hamare computer me ham kya karte hai uski puri jaankari Net par chali jati hai or jisne us virus ko banaya hai wo puri detail dekh sakta hai. Agar aapke Computer me Antivirus nahi hai to aap Avast Free Anti Virus yaha se Download kare.

14# Fack Login Page Par ID Password Nahi Dale

Kuch Log Facebook par kisi ki ID Hack kare ke liye bilkul Facebook ki site jesa login Page banate hai or uski Link send kardete hai jiski ID hack karna hai uske pass. Fir jab wo usme Apni Facebook ki ID or Password dalkar Login karna chata hai to Login me Error aati hai or uska ID or Password Hacker ke pass Chala jata hai. Isko Check karne ke liye ki ye fack login Page to nahi hai apne browser me check kare ki jo site ki link hai wo https://www.Facebook.com hi ho. Hackers kya karte hai ki ek aesi se website banate hai jo facebook ke url ki trha lage jese Facedook.com or uski link send kar dete hai jiki ID hack karna hoti hai. to uske ID or Password unke pass aa jate hai..
Agar aapko lagta hai kahi aapne apna ID or Password Fack Login Page par to nahi daal diya to jada naa soche or apna Facebook Password Change karde turant.

15#💀 Keylogger Se Sabdhan Rahe

Computer ka ek Software hota hai, jisko Key-logger khate hai. Is software ko computer me install karne ke baad jitni bhi button dabai jati hai computer me wo sab save ho jati hai. To agar aap Kisi dusre ke computer me login kare usse phele ye jarur diyan rakhe ki wo bharose ka admi ho.. khane ka matlab hai ki aesa naa ho usne apne computer me keylogger install karke rakha ho or aapka password usme ave ho jaye.. Net Cafe par jarur sabdhar rahe.

16#🎴 Account Deactivate karde

Ye jo tarika hai isse aapke account ki Security nahi badti par agar aapko agar lagta hai to koi bar bar mere account ko hack karne ki kosis kar raha hai to aap apne account ko deactivate kar sakte hai, jisse koi aapki Id ko khol kar koi jaankari nahi dekh payega. Iski Puri Jaankari Yaha hai: Kaise Facebook Account ko Deactivate jare.

17# Apna Email Account Bhi Secure Rakhe

Jis Email ko aapne Facebook me use kiya hai usko bhi secure rakhe or uska Password bhi majbut rakhe. Or apne Email ko Facebook Par share naa kare or usko only me kare.. Isse aapke account me ek or layer aa jayegi security ki.
Agar aap itni Bato ka diyaan rakhege to Aapka Account Hack hona bhut muskil hai.. 👍
Aare haa, ek sabse jaruri baat khana to bhul hi gaya Apna Password kisi ko nahi batana hai :)