Chori kiye mobile phone ka pata kaise lagaye Google par
Mobile ki khojne ke liye in steps ko follow karo (Find My Phone)
#1. Sabse phele Google.com par jao fir usme type karo “Find My Phone” jesa aapko niche ki image me dikh raha hai.
Google me search karo find my phone
#2. Automatically Google par ek Map aa jayega. Ab aapko Apne us Gmail account me login karna hai jo aapne mobile me dala hai.
ab ek Google map khulega search me, usme sign in karo
#3. Jese hi Aap Sign in karoge Google aapke mobile ko search karne lageha
Google aapke mobile ki location ko search karegi
#4. Jese hi aapke Mobile ki location Google ko pata chalegi aapko Google Map par dikhne lagegi. Mobile ki jo location hogi uska ek area hoga 24 meter ka.
aapke mobile ki location google me dikhne lagegi
#5. Ab aap us jagha par jaa kar apne mobile ki ring baja sakte ho. Uske liye ring ki button par click karo.
mobile me ring bajane ke liye ring ki button par click karo
#6. Ab aapke mobile me ringtone bajne lagegi Full volume me or bo 5 minute tak bajegi.
aapke mobile ki ring bajne lagegi full volume me 5 minute ke liye
Achi baat ye hai ki agar aapka mobile silent bhi hai to bhi bo full volume me bajega.
FindMyPhone

Mobile ki location Pata karne ke liye ye function hona jaruri hai

  • Location ki jo service hai bo chalu hona chaiye aapke mobile me
  • Google App Install hona chaiye aapke mobile me or sabse latest version hona chaiye.
  • Mobile me Net chalu hona chaiye
  • Ye jo Mobile ko search karne ka function hai bo abhi Computer par hi karta hai. Aap kisi dusre mobile se nahi pata kar sakte apne mobile ki location ka