Kingo Root Se Android Phone Root Kare
Kingo root ek software hai jo thodese click me aapka android mobile root karte hai. Kingo root se phone root karne ka ek fayda hai isme risk kam hai phone crash hone ke chances kam hai aapko bus aapna mobile is software se connect karna padta hai root button par click karte hi aapka phone root ho jayega. Phone fully root hone par unroot karne ka bhi option Kingo root provide karta hai.
Root Karne Se Pehle Niche Diye Gaye Baton Ka Khayal Rakhe
- Apne phone ko kam se kam 70% charge kare. Root karte samay phone band nahi hona chahiye.
- Aapne phone me jo data hai like contacts, Songs, Images and Video clips usko copy karke rakhiye.
- Root karte samaye phone, pc ya laptop jis par bhi aap kam kar rahe ho wo band nahi hona chahiye.
Android Phone Root Karne Ke liye Step by Step Guide
Step 1: Kingo root ye software aapne computer ya laptop me install kare. Download karne ke liye download par click kare.
Step 2: Phone me USB debugging mode anable kare. Settings me jakar developer options par Tap kare Developer options me USB debugging mode anable hoga usko enable kare
Tip: Agar aapke phone me aapko developer options nahi dikh raha toh About Device me jakar Build number is option par lagatar 10 bar Tap kare developer options dikh jayega.
Step 3: Apne computer me Kingo root software open kare aur apna phone USB cable se computer ko connect kare.
Step 4: Root button par click kare aur wait kare baki kam Kingo root kar dega thodi hi der me aapka phone root ho jayega
Step : Abi aapka phone successfully root ho gaya hai agar aapko phone wapas unroot karna hai toh Remove root par click kare aapko phone me root remove ho jayega
Agar root karne me aapko koi problem ho rahi hai to comment karke humse puch sakte ho. Humari site ko apne dosto me share karna na bhuliye have a profitable day.